main dvandva me hu
khud se ladta , jhagadta
khud hi khud ko marhum lagata
main ek jang me hu
main dvandva me hu

kuch waqt ne , kuch zamaane ne
badal diya meri shaksiyat ko
tehreef karta hua mujaahiron se sabki
main apni hi khoj me hu
main dvandva me hu

kaun dost hai mera ? kaun dushman nira hai ??
main kiska wafadaar hu, kaun mera hai ?
in sawaalon se ghira hua
main jawaabon ki chah me hu
main dvandva me hu

chah kar bhi kuch achcha na hi saka mujhse
galat hi galat hua, sahi ho na saka mujhse
dil dukhaya sabhi chahne walon ka apne
kya main chata ki unke kaabil hu ?
main dvandva me hu