dar dar ke ab tak, jee liya bahut , ab nahi darna
jo kuch hoga achcha hoga, ab nahi darna
galat hua , jo kuch hua tere saath, rab ko bhi maloom hai
ab behtar ke siwa kuch na hoga, ab nahi darna
bahut ro liya tune, aankhein pyaari bhigo li bahut
ab haalat na rula payenge tujhe, ab nahi darna
tufaano me, dariya me le ke kashti utar ja tu
kinaara aane tak tere saath main rahunga, ab nahi darna
na kabhi kamzor samajhna khud ko, na hi kayar kabhi
takat hai tujhme balaa ki, mujhe pata hai, bas ab nahi darna
taqdeer ne khilwaad bahut kar liye tere saath ‘yaaron’
taqdeer teri chmakegi, amawas me chand ki tarah ab, ab nahi darna
August 12, 2008 at 11:48 am
awesome………
as usual…
kab likhi???