shehron ki is laakhon ki bheed me insaan ki kami hai
aadmi anginat hai lekin insaan ki kami hai
har ek ke man me dvesh hai har kisi ke liye
tees uthti hai unnati se dusron ki, irshya pratyek se hai
adchane bahut hain zindagi ki raah me , sahaaron ki kami hai
aadmi anginat hain lekin insaan ki kami hai
padosi ko nahi khabar ab padosi ki hai
gali ke ek chor pe janaaza, doosre pe shaadi kisi ki hai
na dil ka vaasta kisi se, rishton me jazbaat ki kami hai
aadmi anginat hain lekin insaan ki kami hai
kar bhala ho bhala ko maanta ab koi nahi
dusron ko neecha dikha kar khud ko uthane me sabki hod si hai
buraai ka dabdaba zamaane me bhalaayi ki kami hai
aadmi anginat hain lekin insaan ki kami hai
alhad hasii masoom ki, dikhti nahi kisiko
din dahaade maar kaat sab mook dekhte hain
nigaahein sabke paas hain , nazar ki kami hai
aadmi anginat hain lekin insaan ki kami hai
dil se awaaz nahi , ab cheekh sunaayi deti hai
kyun badal raha hai khuda ka karishma ?
kyun gayab ho raha hai insaan hi insaan me se ?
kyun zindagi ki raahon me shaaron ki kami hai ?
kyun rishton me jazbaat ki kami hai ?
kyun zamaane me bhalaayi ki kami hai ?
kyun … ???
kyun aadmi anginat hain , insaan ki kami hai ?
allah ki nemat hai insaan ho pana
ie samhale rakhna hi imtehaan aadmi ki hai
ye samjhane walon ki nahi , samajhne walon ki kami hai
aadmi anginat hain lekin insaan ki kami hai
shehron ki is bheed me insaan ki kami hai
aadmi anginat hain lekin iinsaan ki kami hai